Khoya hun teri yaadon mein
dooba hun teri nigaahon mein
kya kahun main apne deedar ka
rakha hai usse in panaahon men
kehna tha mujhe kuchh tujhse
mann mein thi yeh baat na jaane kabse
iqraar kar raha hun main apne pyar ka
dekha hai tujhe in nigaahon ne jabse
sanam-bewafa nahi hun main
teri zindagi mein kahin gum hun main
nah na kehna tere iss aashiq ko
seh na paunga iss dard ko main
zindagi mein hardam tere saath rahunga
tere labho se khushiyon ko na hatne dunga
bas ab aaja in baahon mein
main apni baat hamesha muqqammal rakhunga
mashgool nahin hun main sharab mein
ghutno pe hun ab tere samne
bas yahi kuchhh kehna tha mujhe tujhse
ab meri zindagi hai tere jawaabon mein
-----kalyan chakravarthy a.
No comments:
Post a Comment