Wednesday, December 31, 2008

My friend composed music for this! Ah! now I'm a yricist too!

khwabo mein ye kaisi hulchul,
saanso mein ye kaisi uljhan
kya bataun haal mera,
ajab sa nasha hai tera

door hoke bhi kareeb hai tu
har lamha ehsaas hai tu
khwabo mein hai tu
har manzar mein hai tu

falak pe suraj ki kya zarurat hai
tera chehra hi mere dil ko karta roshan hai
chaand mein toh fir bhi daag hai
mera chaand toh be-daag hai

lamha-lamha tera hi intezar hai
tere iqraar ka hi intezaar hai
tere har lafz pe mujhe ifteyaar hai
teri har adaa mere dil ko karti bekaraar hai

paunga tujhe kab, yahi mera ab sawaal hai
samaaegi tu mujhmein kab, yahi mera ab khumar hai
tere dar pe sar jhukaae khade hai
kabi na kabi aaogi, bas yahi meri ab umeed hai

-----kalyan chakravarthy a.

No comments:

Post a Comment